Wednesday, 18 September 2013

Bengal - The rich culture

Bengal - The great culture


Bengal, 1947 ke pehle ek bada rajya hua karta tha. 1947 mei desh ke vibhajan ke dauran, is mahaan rajya ko dharmic aadhar par do bhagon mei baant diya gaya - poorv-bengal aur paschim-bengal. Poorvi-Bengal ko Pakistan se aazadi dilane mei bharat ne wahan ke aazadi ke sainikon ko bahut bada sahyog diya. Aaj poorvi-bengal ek poorna desh hai jiska naam hai - Bangladesh.

Pashchim-Bengal (jise hum aage Bengal ke naam se bulayengey) bharat ka ek abhinn ang hai aur iski mahatta shabdon mei bayaan nahi ki ja sakti. Iski Rajdhani, kolkata, ko humare desh ki sanskritik rajdhani bhi kaha jata hai. Nobel puraskar vijeta Shri Rabindranath Tagore Bengal ke ek mahaan putra hain, aur humare desh ki shaan hain. Woh is vishwa ke aise ek hi insaan hain jinhone do deshon ka rashtriya gaan likha, Hindustan aur Bangladesh. Unse prerit ho kar unke ek Sri-Lankayi chatra (ananda samarakoon) ne Sri-Lanka ka bhi rashtriya gaan likha.

Bengal ki bhasha "Bengali" hai. Bangaliyon ko "machh aur bhat" khana bahut pasand hai. Unhe meetha khane ka bhi bahut shauk hai, jaise Hilsa, Roshogolla, chomchom, kalajom, sondesh ityaadi. Bangali mahilayein jyadaatar paramparagat "shari" (saari) hi pehenti hain aur purush "panjabi aur dhoti" pehentey hain.

Bengal ka sabse mahatwapoorna tyawhaar Durga puja hai. Is samay purey dus din Maa Durga ki puja ki jati hai. Anya tyawhaar jaise poila baishakh, basant-utsab, kali puja bhi badi dhoom dhaam se maya jata hai.

Bengali apne sanskritik pratibha ke liye jane jatey hain. Chahe woh gana ho ya paramparagat nritya. Wahan ke log Baul lok sangeet, Gombhira, Bhawaiya, Rabindrasangeet, Narzul Geet bade hi chaav se gate aur gungunate hain. Aur Purulia ka Chau nritya (mukhauta pehen kar nachna), aadiwasi nritya aadi wahan ki lokpriya nritya shaili hai.

Bangal ke log khel-kood ke diwane hain. Humare desh ke kayi mahaan football khiladi, cricket ke khiladi isi pradesh se aaye hain. Par Footbal yahan ka sabse pasandeeda khel hai.

Bengal ne humare desh ko film jagat ke kuch mahaan hastiyaan di hain jaise Satyajit Ray, Mrinal Sen, Shyam Benegal, Tapan Sinha ityadi.

Bengal ke abootporva yogdaan ke liye humara poora desh inka rinni rahega.

Thanks.
---------------------
Mantosh Singh..
30th Aug 2013'
(prepared for Ruhin as part of her speech of various places & cultures in India)

No comments:

Post a Comment