Sochti hun main...
Sochti hun mai ki jab sabko yeh aabhaas hai
Paani jeevan ka hai strot fir kyon nahi ehsaas hai?
Bade bujurg keh gaye keemti ek ek boond hai
Sochti hun mai ki fir, kyon yeh aankhein moond hai
Him, Nadi, saavan, ghata sab kar rahe prayaas hain
Sochti hun main ki fir, kyon badhrahi ye pyaas hai
Badhtey Udyog, rasaayanik kachra kat-tey paed, badhti aabadi... sabkuch barbaad kar rahey
Fir Sochti hun mai, ki kyon nahi hum kuch kar pa rahe
Kya karoon kaise karoon, kaise samjhaoon in sab ko,
Sochati hun mai ki, kya itni samajh bhi nahi hum sab ko?
Ki Aaney wali pushton ka kaise rakhein hum khayal
Sochti hun mai ki Paani bagaer, kaise hongey wo khushhaal
Aaiye hum khayein kasam ki paani ko bachayengey
Sochna hoga hum sab ko ki har boond se seep banayenge...
Sochna hoga hum sab ko ki har boond se seep banayenge
Mantosh Singh..
May 2013'
(prepared for Ruhin for Water conservation and awareness)
No comments:
Post a Comment