Wednesday, 18 September 2013

Meri Dilli (Delhi) meri Shaan

Meri Dilli Meri Shaan

Dilli... Iss desh ka woh hissa, jise Pandavon ne apnaya, Mauryon ne sajaya, Afghanon, turkiyon, mughlon ne aur fir Angrejon ne sanwara, iski khobsoorti ko nikhara... Inn sabhi ne ise apne rajya ki rajdhani bhi banaya. Aur aaj bhi yeh humare desh ki rajdhani hai!


Ki yahan Lal Quila hai, Qutab minaar hai, India Gate hai... par hazaron saal puraney iss "indraprastha" par garv karne ki wajah kuch aur bhi hain.

Garv hai mujhey ki main hindustaan ki pawan bhoomi ke us tukdey par rehti hun jo humarey desh ki sanskritik, kootnitik aur rajnaitik rajdhani hai... aur inn sab ke saath saath, yeh iss desh ke dilwaon ki rajdhani bhi hai!

Mujhe garv is baat par bhi hai ki dilli ki sadkein iss desh mei sabse behtareen hain. Dilli ki metro iss desh mei parivahan vyavastha ki ek misaal hai.

Salaam karti hun main Dilli ki police ko, jisne apradhiyon ka har baar mun todh jawaab diya aur Dilli Police ka naam poorey desh mei roshan kiya.

Doston, Is shaher ney sabko apnaya... aapko, mujhe - hum sabko. Dilli mei na koi punjabi hai, na marathi, na bangali hai, na bihari, na hi tamil hai na assami... hum sab ek hain... hum dilli wale hain!

Mitron, Lal Quile ke diwan-i-khas par likha Amir Khusro ka yeh chandd mano dilli ke liye hi kaha tha unhone - ki "Agar firdaus bar roo-e zameen ast, Hameen ast-o hameen ast-o hameen ast"... ki, agar is dharti par koi swarg hai to woh yahi hai yahi hai... yahi hai.

Aise Dilli ko mera sat-sat pranam.

Dhanyawaad
-----------------------
Mantosh Singh..
1st Aug 2013'
(prepared for Ruhin as part of Elocution competition)

5 comments:

  1. Thank you to help me prepare for my hindi anuched competition. I got first prize.

    ReplyDelete
  2. Am glad the poem helped your Akanksha. Congratulations on winning the first prize! Which class are you in? And which school?

    ReplyDelete
  3. Very nice and helpful for me
    -Saloni Jain

    ReplyDelete
  4. Thanks Saloni. Am glad it was useful to your needs.

    ReplyDelete
  5. Èeeeeeeeèeeeeeee

    ReplyDelete