Thursday 16 August 2012

Chalo chalo, School Jana hai - A Poem on School & Mother

(Written for my Daughter)

Chalo chalo, School Jana hai

Utho Ruhin jaago Ruhin, tumko school jaana hai
Maine kaha sone do na Maa, mujhe school nahi jana hai


Aaj tumhari pareeksha hai, school jaroor jana hai,
Mujhe kuch yaad nahi, mujhe school nahi jana hai


School mei hai kavita spardha, kya fir bhi nahi jana hai(?)
Oho... kal ja ke bol doongi, aaj hi kyon sunana hai(?)


Aapki beti ziddi hai, kehti hai ki school nahi jana hai,
Papa se mat kahiye na, kya mujhe daant padwana hai?


Meri neend khul gayi hai, ab samay nahi gawana hai,
School mei aaj khel kood hai, daud ke pahunch jana hai,


Dance karungi jhoom jhoom ke, drawing bhi to banana hai!
Pariksha mei acha likh kar, kavita bhi to sunana hai


Maam ki sunungi baat sabhi, daant thodi na khana hai(?)!
Dhanya hain Geeta Maam, mushkil bachchon ko padhana hai,
...Suniye Uthiye jaldi chaliye, Ruhin ko ASN pahunchana hai!

Chalo Chalo... School Jana hai!

Dhanyawaad!

--May 2012
--By Mantosh Singh..

No comments:

Post a Comment