Wednesday 15 August 2012

Leti Hun Shapath aaj main - Patriotic Poem for Kids

(Patriotic poem For Kids)

"Leti hun Shapath yeh aaj main..."

Dekho uss tirange ko...Kaise hai balkha raha...
Dekho to uss Tirangey ko...Kaise hai Ithlaa raha...
Lagta hai woh tod bandhan... gagan mei udd janaa chahta hai
Apni shaan ka parcham... poori duniya mei dikhana chahta hai|


Woh kar raha pranam hai apne har uss desh waasi ko,
Jinhone uski shaan ki khatir lagayi apni jaan ko .
Karti hun mai naman aapka, jinse mili humey aazadi hai...
Leti hun Shapath ye aaj main - Udaati rahungi Tirangey ko|


Aapne sanwara hai, aapne nikhara hai, sambhala ab tak hai is watan ko
Iss watan ki jimmedari ab hai meri, rakhoongi laaj iske maan ko.
Na daroongi, na rukungi, na hi jhukungi main...
Leti hun Shapath ye aaj main - Udaati rahungi Tirangey ko|


Na bhooley hain aap, na bhooli hun main,
Na bhoola hai yeh jahan... aapki kurbani ko,
Main Rinni hoon aapke rakt ki, jo ladey hain meri saans ko
Kasam hai aapke balidaan ki, dushman choo na sakega is mitti ko
Leti hun Shapath ye aaj main - Udaati rahungi Tirangey ko|


Jai Hind!

--By Mantosh Singh..

No comments:

Post a Comment