Wednesday 15 August 2012

Indira Gandhi's Speech - for Kids

(For Kids competitions and Independence day performances perhaps!)

Namashkaar

Bhaiyon aur Behnon,

Humey is desh se Gareebi, bhrashtachaar aur bayimani ko hatana hoga.

Aaj mai yahan hoon, kal shayad na rahoon. Par is desh ka khyaal is desh ke har nagrik ko rakhna hoga.
Mujhe parwah nahi ki mai jeeyoon ya maroon. Maine bahut lambi zindagi jee hai. Mujhe fakra hai ki maine apna poora jeevan is desh ki sewa mei bitaya hai. Aur jab tak meri saansein hain main is desh ki sewa karti rahungi.

Aur jab meri jaan jayegi to main keh sakti hun ki mere Ek ek khoon ka katra jitna mera hai, woh ek ek khoon ka katra ek bharat ko jeevit karega. Mujhe umeed hai ki aap sab, khaas kar ke is desh ke naujawaan aur mahilayen, isse apni zimmedari samjhenge. Mujhe aap sab par poora vishwas hai ki aap sab galat raah kabhi nahi chunengey.

Jai Hind.

--Indira Priyadarshini Gandhi, Bhubaneswar, 30th October 1984 (a Day before she got assassinated)

1 comment: