Brahmaand – Ek Kahaani
Brahmaand ki utpatti aaj se 13 arab saal pehley hui thi.
humara saurya mandal iske mukabley sirf 4 arab saal hi purana hai. Humare
brahmaand mei unginat aakashganaga hain. Yahi wajah hai ki humarey vaigyanik
aisa maantey hain ki iss baat ki sambhavnayein kafi addhik hain ki prithavi
jaisa grah aur bhi jaroor hongey. Iska tatparya yeh hai ki shaayad hum iss
brahmaand mei Akeley nahi hain… jeevan
kahin aur bhi panap raha hai – shayad kisi aur aakashganga mei!
Waise humare saurya mandal ki baat hi kuch aur hai. Yeh ek
bahut badaa saurya mandal hai jisme 8 grah maney gaye hain. Har grah ke apney
upagrah hain (siway buddha aur shukra ke) aur sab ke sab surya ke chaaron ore
ek seemit samay mei chakkar lagatey hain. Yeh bahut hi kamaal ki baat hai!
Har ek grah ki apni hi vividhta hai. Surya ke sabse kareeb
hone ki wajah se Buddha (Mercury) sabse garam grah to hai hi, par sirf uska ek hi
bhaag! Mercury ke doosarey hissey mei barf jami hai! Shukra (Venus) ko Dharti ki behen ka darjaa
hassil hai kyonki iska aakar dharti ke hijaisi hai. Raat ke andhere mei shukra
ko humarey aakash mei sabse chamakdaar sitarey ke roop mei dekha ja sakta hai. Dharti
humarey saurya mandal ka sabse mahaan grah hai! Ab tak ke vaigyanik anusandhaan
ko manaa jaye to hum ek maatra aise grah par hain, jahana jeevan ka strot hai!
Yeh apney aap mei iss grah ko adwitiya shreni mei shaamil karta hai! Dharti ke
baad Mangal (Mars) grah surya se chauthey sthan par uska chakkar laga raha hai.
Iss laal grah ka bhi aakar dharti ke hi samaan hai aur manushya ne kayi
upahgrah bheje hain iss grah ki ore, jisme bharat ka Mangalaayan yaan bhi
shaamil hai! Mangalayan ka safal daura humarey desh ke liye garv ka prateek
hai. Mangal ke baad aata hai iss saurya mandal ka sabse vishaal grah,
Brihaspati (Jupiter). Agar baki sare grahon ko mila diya jaye, tab bhi
Brihaspati grah unse dhai guna bada hoga. Brihaspati humare aakash mei shukra
grah ke baad sabse tej chamakne wale sitarey ke roop mei dekha ja sakta hai.
Brihaspati ke 67 chandrama hain. Brihaspati ke baad sabse jyaada chandrama (62)
hain Shani (Saturn) grah ke chaaron ore. Shani grah ke Charon ore tees bahut hi
Ghane dhool ke gherey hain jiski wjah se yeh grah baki sabse alagh aur
khoobsoorat dikhta hai. Arun (Uranus) grah surya se door honey ki wajah se barf
se Dhaka hua hai aur antariksh doorbeen se neeley rang ka prateet hota hai.
Iske bhi 27 chandrama hain aur 9-10 dhool ke gherey hain. Arun ke baad aata hai
saurya mandal ka aakhiri grah, Varun (Neptune). Yeh grah Arun ke jaise hi barf
se Dhaka hua hai aur usasey bada bhi hai.Iske Charon ore iske chaudah chandrama
chakaar lagatey hain. Manushya ne abhi tak Arun aur Varun ke paas sabse kum
yaan bheje hain aur isi wajah se inke barey mei jyaada jaankari nahi hai.
Par sarey grahon se jyada mahatwapurna hai inn sabhi grahon
ko ikattha rakhne wala Surya. Surya ka aakaar itna bada hai ki dharti jaise 10
laakh grah isme samaa saktey hain! Humarey saurya mandal ki shuruaat chaar arab
saal pehley tab hua jab ek maha visphotak ghatna se Surya ki utpatti hui. Surya
hi hur grah ke energy ka strot hai. Kaha jaata hai ki surya apni urja se kuch
arab salon baad buddha, shukra aur dharti ko apne andar samaa lega. Iski
aparampaar urja aur tej ki wajah se ise dharti par bhagwaan ka hi roop mana
gaya hai. Aur ho bhi kyon na
Iss brahmaand aur humarey saurya mandal ka Vishay bahut bada
hai, par isey hum jitney kareeb se dekhtey hain, mann karta hai ki iske barey
mei aur padhein… aur jaaney.Yeh Vishay hai hi itna dilchasp!
(Prepared for Ruhin Raghuvanshi... Class III)
No comments:
Post a Comment