Poem on Prakriti (Nature)
Layi hun mai Layi hun, Prakriti ka Sandesh layi hun...
Suno Suno aye mere mitron, kuch baat sunaney aayi hun
Suraj ugtaa har roj dharti par... roshan karta har jeevan ko
Charon or vriksha hai mitron, dhoop se humey bachaaney ko
Rimjhim karti Saavan ki boondein... paavan karti dharti ko
Jungle, pahaad baney hain mitron, pralay se humey bachaney ko
Gad-gadhati aandhi, daraata toofaan... deta dastak barbaadi ko
Tab Panchiyon ki chahchahat mitron, deta awaaz navjeevan ko
Ishwar ki nayaab den hai ye, ki Hariyaali ki aas hai ret ko
Nadiyon ki hi ye maya hai... jodti Saagar se har shikhar ko
Aaiye hum khayein kasam, na khone dengey is chamatkaar ko
Apney hi hathon se mitron, sajayengey apne iss sansaar ko
Is dharohar ki karni raksha, param kartavya humara ho
Desh ki aur dharti ki seva hi - ab humara nara ho...
Desh ki aur dharti ki seva hi - ab humara nara ho
Dhanyawad
Ruhin Raghuvanshi..
(Class III)
No comments:
Post a Comment